top of page

Gar Ek Toshak (Mattress) Bol Pata




Main bhi ek shayar hota magar bezubaa’n hoon,

Khamosh rehkar kayi kahaniya’n sunta hoon.


Kabhi ek nayi zindagi ki to kabhi maut ki,

Kabhi kaisi kabhi kaisi har kism ki sej saja leta hoon.


Kabhi kisi musafir ko suku’n deta hoon,

Kabhi kisi beemar ki bad-dua leta hoon.


Kabhi khamosh raato’n me siskiya’n sunta hoon,

Kabhi rumaani raato’n ka lutf leta hoon.


Kabhi tanha raato’n me kisi ghair ka azeez ho leta hoon,

Kabhi yaaro’n ki bazm me shabh bhar thandi me thithurta hoon.


Kabhi kisi ki din bhar ki baichaini baant leta hoon,

Kabhi kisi ki raat ki bechainiyo’n mein jaag leta hoon.


Main bhi ek shayar hota magar bezubaa’n hoon,

Khamosh rehkar kayi kahaniya’n suntan hoon.




12 views0 comments

Recent Posts

See All

Silence

bottom of page